well... main ne koshish ki hey k doosray comments pehle parhoon....
mujhe ye samajh nahi a rahi k aakhir ismain masla kya hey...
ho sakta hey main ne baat theek tarah se samjhi na ho..
abhi main ne subha Amjad Islam Amjad ki is topic pe guftagu suni hey...aor aik nazm bhi sunai unhon ne... Kisi ko parhne ka ittefaaq ho to zaroor parhay..
ALI ZEESHAN K LIYE AIK NAZM
generation gap ka matlab jo meri samajh main aata hey wo ye k bohat c baatain aisi hain ho hum apne elders se frankly nahi kar saktay ya bohat c baatain un ko samjha nahi saktay...
aor ye waqai aik natural baat hey...
aor aik baat jo bazurgon k hawalay se main kahoon.. hamaray elders ya bazurg jo bhi kehtay hain... ab baat ye hey k hum un ko badal nahi saktay... na un se behas kar saktay hain k wo ghalat hain aor i must say wo zyada ghalat nahi hain...
ye baat main ne achi tarah feel ki hey k VALUES jo hamaray elders main thien... hum logon main kamm hain... agar wo koi baat kartay hain to uski koi na koi base zaroor hey...
aor yun bhi jese hum un ki bohat baaton se agree nahi kar saktay ... wo bhi nahi kartay...